mera sar aap ke qadmon pe jhuka aaj ke din
mera sar aap ke qadmon pe jhuka aaj ke din
Shameem Fatima Jafari
MORE BYShameem Fatima Jafari
merā sar aap ke qadmoñ pe jhukā aaj ke din
apnī qismat pe mujhe naaz huā aaj ke din
jhuum kar kaalī ghaTā chhā ga.ī har chaar taraf
kis ne zulfoñ ko pareshān kiyā aaj ke din
saarā aalam hai mire dīda-e-hairāñ kī misāl
jalva-gar kaun sar-e-bazm huā aaj ke din
nigah-e-shauq tire ruḳh se haTā.ī na ga.ī
dil meñ ek dard nayā aur uThā aaj ke din
ho ke ḳhud sāmne a.amāl kī purshish kyā ḳhuub
apnī hastī kā kise hosh rahā aaj ke din
ho dil-o-jān 'shamīm' aap pe qurbāñ sau baar
ek nigāh-e-karam-o-lutf-o-atā aaj ke din
mera sar aap ke qadmon pe jhuka aaj ke din
apni qismat pe mujhe naz hua aaj ke din
jhum kar kali ghaTa chha gai har chaar taraf
kis ne zulfon ko pareshan kiya aaj ke din
sara aalam hai mere dida-e-hairan ki misal
jalwa-gar kaun sar-e-bazm hua aaj ke din
nigah-e-shauq tere ruKH se haTai na gai
dil mein ek dard naya aur uTha aaj ke din
ho ke KHud samne aamal ki purshish kya KHub
apni hasti ka kise hosh raha aaj ke din
ho dil-o-jaan 'shamim' aap pe qurban sau bar
ek nigah-e-karam-o-lutf-o-ata aaj ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.