mera sar Takra raha hai phir nai diwar se
merā sar Takrā rahā hai phir na.ī dīvār se
jabki aage baḌh gayā thā āḳhirī dīvār se
sāya-e-dīvār se sab mutma.in haiñ maiñ nahīñ
raushnī meñ ho rahī hai kuchh kamī dīvār se
vo tirī tasvīr thī jo rābta baḌhtā gayā
varna kyoñ karne lagā maiñ dostī dīvār se
kuchh gale tasvīr se the raat maiñ ne kar diye
har taraf se ris rahī hai ab namī dīvār se
tilmilāhaT dīdanī thī chand chehroñ par vahāñ
kuchh purāne dar mile jab ik na.ī dīvār se
maiñ batā.ūñgā tujhe ab rāste kā roknā
terā ab tak sāmnā thā ret kī dīvār se
mera sar Takra raha hai phir nai diwar se
jabki aage baDh gaya tha aaKHiri diwar se
saya-e-diwar se sab mutmain hain main nahin
raushni mein ho rahi hai kuchh kami diwar se
wo teri taswir thi jo rabta baDhta gaya
warna kyon karne laga main dosti diwar se
kuchh gale taswir se the raat main ne kar diye
har taraf se ris rahi hai ab nami diwar se
tilmilahaT didani thi chand chehron par wahan
kuchh purane dar mile jab ek nai diwar se
main bataunga tujhe ab raste ka rokna
tera ab tak samna tha ret ki diwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.