mera shuur mujhko ye aazar de gaya
merā shu.ūr mujh ko ye āzār de gayā
sūraj kī tarah dīda-e-bedār de gayā
har phuul ik sharar hai to har shāḳh ek barq
jannat kā ḳhvāb dozaḳh-e-gulzār de gayā
lab-bastagī meñ hasrat-e-guftār jaag uThī
ḳhauf-e-sukūt jur.at-e-iz.hār de gayā
jaltā huuñ apnī aag meñ ḳhurshīd kī tarah
kaisī sazā ye sho.ala-e-pindār de gayā
mahv-e-suḳhan thā maiñ ki mirā aks hañs paḌā
ā.īne se nikal ke ye ash.ār de gayā
mera shuur mujh ko ye aazar de gaya
suraj ki tarah dida-e-bedar de gaya
har phul ek sharar hai to har shaKH ek barq
jannat ka KHwab dozaKH-e-gulzar de gaya
lab-bastagi mein hasrat-e-guftar jag uThi
KHauf-e-sukut jurat-e-izhaar de gaya
jalta hun apni aag mein KHurshid ki tarah
kaisi saza ye shoala-e-pindar de gaya
mahw-e-suKHan tha main ki mera aks hans paDa
aaine se nikal ke ye ashaar de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.