mera tujhse sitara mil raha tha
merā tujh se sitāra mil rahā thā
kināre se kināra mil rahā thā
likhā thā naam maiñ ne jo ḳhudā kā
usī kā bas sahārā mil rahā thā
tumhāre ba.ad milne hijr aayā
dukhī ho kar dobāra mil rahā thā
nigāhoñ meñ kisī kī aas le kar
kisī se dil hamārā mil rahā thā
jo thā ūñchā tumhārā silsila to
vahīñ shajara hamārā mil rahā thā
tumhāre ahd ke ham munharif the
yahī ilzām saarā mil rahā thā
chale aao ki ab ye raat biite
ki shab se din kā taarā mil rahā thā
'hinā' ye raaz ham ne dil meñ rakkhā
milā jo bhī tumhārā mil rahā thā
mera tujh se sitara mil raha tha
kinare se kinara mil raha tha
likha tha nam main ne jo KHuda ka
usi ka bas sahaara mil raha tha
tumhaare baad milne hijr aaya
dukhi ho kar dobara mil raha tha
nigahon mein kisi ki aas le kar
kisi se dil hamara mil raha tha
jo tha uncha tumhaara silsila to
wahin shajara hamara mil raha tha
tumhaare ahd ke hum munharif the
yahi ilzam sara mil raha tha
chale aao ki ab ye raat bite
ki shab se din ka tara mil raha tha
'hina' ye raaz hum ne dil mein rakkha
mila jo bhi tumhaara mil raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.