mera ye jism to be-shak yahan hai
merā ye jism to be-shak yahāñ hai
magar dil to vahīñ hai tū jahāñ hai
jo rāh-e-zīst meñ har-sū dhuāñ hai
umīdoñ kā ġhubār-e-kārvāñ hai
umīdeñ bāñdh baḌh aage akele
ki rah jaatā yahīñ har kārvāñ hai
mirī maano to sīdhī raah chalnā
idhar khaa.ī udhar andhā kuaañ hai
tire sab kashT har ānand degā
vo letā pahle sab kā imtihāñ hai
ye āñkhoñ kī ajab dariyā-dilī hai
ḳhushī ho yā ki ġham aañsū ravāñ hai
hañsī meñ mat uḌā merī kahānī
tire jazbāt haiñ merī zabāñ hai
'nayā' kyuuñ tez hai dhaḌkan mire dil
vo shāyad aaj mujh pe mehrbāñ hai
mera ye jism to be-shak yahan hai
magar dil to wahin hai tu jahan hai
jo rah-e-zist mein har-su dhuan hai
umidon ka ghubar-e-karwan hai
umiden bandh baDh aage akele
ki rah jata yahin har karwan hai
meri mano to sidhi rah chalna
idhar khai udhar andha kuan hai
tere sab kashT har aanand dega
wo leta pahle sab ka imtihan hai
ye aankhon ki ajab dariya-dili hai
KHushi ho ya ki gham aansu rawan hai
hansi mein mat uDa meri kahani
tere jazbaat hain meri zaban hai
'naya' kyun tez hai dhaDkan mere dil
wo shayad aaj mujh pe mehrban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.