mere aangan ka naya rang nazar aata hai
mere āñgan kā nayā rang nazar aatā hai
shaam hotī hai to ik chāñd utar aatā hai
kyā huā hai mujhe kyoñ ghar pe mire kal shab se
jo bhī aatā hai vo bā-dīda-e-tar aatā hai
jo bhī kahnā ho vo kah detī haiñ lafzoñ ke baġhair
baat karne kā un āñkhoñ ko hunar aatā hai
us ke saa.e meñ ka.ī ahd guzāre ga.e haiñ
rāste meñ jo mire būḌhā shajar aatā hai
aisā manzar kahāñ ruktā hai kisī ke roke
bāñdh kar paaoñ meñ apne jo bhañvar aatā hai
ḳhatm jis par ho guzarte hue lamhoñ kā safar
ik nayā saal usī lamhe se ubhar aatā hai
ek muddat se bilā-nāġha sar-e-shām ai 'nūr'
qāfila shahr-e-navā kā mire ghar aatā hai
mere aangan ka naya rang nazar aata hai
sham hoti hai to ek chand utar aata hai
kya hua hai mujhe kyon ghar pe mere kal shab se
jo bhi aata hai wo ba-dida-e-tar aata hai
jo bhi kahna ho wo kah deti hain lafzon ke baghair
baat karne ka un aankhon ko hunar aata hai
us ke sae mein kai ahd guzare gae hain
raste mein jo mere buDha shajar aata hai
aisa manzar kahan rukta hai kisi ke roke
bandh kar paon mein apne jo bhanwar aata hai
KHatm jis par ho guzarte hue lamhon ka safar
ek naya sal usi lamhe se ubhar aata hai
ek muddat se bila-nagha sar-e-sham ai 'nur'
qafila shahr-e-nawa ka mere ghar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.