mere aangan se ujala kya gaya
mere āñgan se ujālā kyā gayā
chhoḌ kar mujh ko mirā saayā gayā
maiñ ne dekhā thā kisī ko Dūbte
aur maiñ bhī Dūbte dekhā gayā
dost ghar aayā thā aadhī raat meñ
mujh se darvāza nahīñ kholā gayā
bhiiḌ se ḳhud ko bachā laayā thā maiñ
aur apne aap se Takrā gayā
Thiik se dikhtā nahīñ paikar tirā
tū mire nazdīk itnā aa gayā
bādaloñ ko hai ḳhabar is baat kī
kaun kis dariyā se kab pyāsā gayā
mere aangan se ujala kya gaya
chhoD kar mujh ko mera saya gaya
main ne dekha tha kisi ko Dubte
aur main bhi Dubte dekha gaya
dost ghar aaya tha aadhi raat mein
mujh se darwaza nahin khola gaya
bhiD se KHud ko bacha laya tha main
aur apne aap se Takra gaya
Thik se dikhta nahin paikar tera
tu mere nazdik itna aa gaya
baadalon ko hai KHabar is baat ki
kaun kis dariya se kab pyasa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.