mere aansu teri aankhon se agar mil jaen
mere aañsū tirī āñkhoñ se agar mil jaa.eñ
jitne murjhā.e hue phuul haiñ sab khil jaa.eñ
saañs lenā mujhe āsān bhī ho saktā hai
Tahniyāñ peḌ kī dhīre se agar hil jaa.eñ
ek ik kar ke sabhī bastiyāñ vīrān huiiñ
qatl karne ke liye ab kahāñ qātil jaa.eñ
DhūñDhtī rahtī haiñ har vaqt ye āñkheñ us ko
kisī bāzār se guzreñ kisī mahfil jaa.eñ
ḳhāmushī itnī bhī achchhī nahīñ hotī 'tāhir'
mujh ko Dar hai na kahīñ hoñT tire sil jaa.eñ
mere aansu teri aankhon se agar mil jaen
jitne murjhae hue phul hain sab khil jaen
sans lena mujhe aasan bhi ho sakta hai
Tahniyan peD ki dhire se agar hil jaen
ek ek kar ke sabhi bastiyan viran huin
qatl karne ke liye ab kahan qatil jaen
DhunDhti rahti hain har waqt ye aankhen us ko
kisi bazar se guzren kisi mahfil jaen
KHamushi itni bhi achchhi nahin hoti 'tahir'
mujh ko Dar hai na kahin honT tere sil jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.