mere aasab pe chhati hi chali jati hai
mere a.asāb pe chhātī hī chalī jaatī hai
koī sūrat mujhe bhātī hī chalī jaatī hai
saañs dar saañs musāfir haiñ ġhubār-ālūda
zindagī ḳhaak uḌātī hī chalī jaatī hai
kaun kartā hai samā.at ke taqāze puure
ḳhāmushī shor machātī hī chalī jaatī hai
dekh ashkoñ kā samundar hai mire chāroñ taraf
mauj-e-ġham mujh ko bahātī hī chalī jaatī hai
tīrgī hai ki bhaTaktī hai tirī galiyoñ meñ
raushnī raah dikhātī hī chalī jaatī hai
mere sab zaḳhm haiñ naqqād mire sheroñ ke
shā.irī hashr uThātī hī chalī jaatī hai
rokne vaale mujhe rokte rahte haiñ 'fidā'
shā.irī aage baḌhātī hī chalī jaatī hai
mere aasab pe chhati hi chali jati hai
koi surat mujhe bhati hi chali jati hai
sans dar sans musafir hain ghubar-aluda
zindagi KHak uDati hi chali jati hai
kaun karta hai samaat ke taqaze pure
KHamushi shor machati hi chali jati hai
dekh ashkon ka samundar hai mere chaaron taraf
mauj-e-gham mujh ko bahati hi chali jati hai
tirgi hai ki bhaTakti hai teri galiyon mein
raushni rah dikhati hi chali jati hai
mere sab zaKHm hain naqqad mere sheron ke
shairi hashr uThati hi chali jati hai
rokne wale mujhe rokte rahte hain 'fida'
shairi aage baDhati hi chali jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.