mere afkar ne jis shai se jila pai hai
mere afkār ne jis shai se jilā paa.ī hai
ishq kī zinda-dilī husn kī ra.anā.ī hai
shāḳh-e-gul meñ jo nazākat jo lahak aa.ī hai
terī bāhoñ kī lachak hai terī añgḌā.ī hai
phir ubharne lage na ḳhasta-māzī ke nuqūsh
lauh-e-dil par koī tasvīr ubhar aa.ī hai
ġham-o-andoh ke is daur meñ kyā aish-o-nishāt
shādyāne haiñ ḳhushī ke na vo shahnā.ī hai
zindagī hai ki bulātī hai taqāzoñ kī taraf
dil giraftār-e-ḳham-e-zulf-e-chalīpā.ī hai
rahiye ḳhāmosh to hālāt bigaḌ jaate haiñ
aur kuchh kahiye to andesha-e-rusvā.ī hai
dil vo kyā hai ki na ho jis meñ mohabbat kā junūn
sar vo kyā hai ki jo be-vaz.a jabīñ-sā.ī hai
maiñ ki darpesh hai mujh ko safar-e-dūr-o-darāz
aur ik vo haiñ ki un ko ġham-e-tanhā.ī hai
koī marham na mudāvā koī phāhā na davā
ziist oḌhe hue zaḳhmoñ kī ridā aa.ī hai
zarf-o-himmat se sivā dī nahīñ jaatī taklīf
itnā ġham dete haiñ jitnī ki shakebā.ī hai
'tāj' ye zor-e-bayāñ jo bhī suḳhan meñ kuchh hai
asar-e-tarbiyat-e-shevan-e-mīnā.ī hai
mere afkar ne jis shai se jila pai hai
ishq ki zinda-dili husn ki ranai hai
shaKH-e-gul mein jo nazakat jo lahak aai hai
teri bahon ki lachak hai teri angDai hai
phir ubharne lage na KHasta-mazi ke nuqush
lauh-e-dil par koi taswir ubhar aai hai
gham-o-andoh ke is daur mein kya aish-o-nishat
shadyane hain KHushi ke na wo shahnai hai
zindagi hai ki bulati hai taqazon ki taraf
dil giraftar-e-KHam-e-zulf-e-chalipai hai
rahiye KHamosh to haalat bigaD jate hain
aur kuchh kahiye to andesha-e-ruswai hai
dil wo kya hai ki na ho jis mein mohabbat ka junun
sar wo kya hai ki jo be-waza jabin-sai hai
main ki darpesh hai mujh ko safar-e-dur-o-daraaz
aur ek wo hain ki un ko gham-e-tanhai hai
koi marham na mudawa koi phaha na dawa
zist oDhe hue zaKHmon ki rida aai hai
zarf-o-himmat se siwa di nahin jati taklif
itna gham dete hain jitni ki shakebai hai
'taj' ye zor-e-bayan jo bhi suKHan mein kuchh hai
asar-e-tarbiyat-e-shewan-e-minai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.