mere afkar-o-KHayalat ka mehwar tum ho
mere afkār-o-ḳhayālāt kā mehvar tum ho
al-ġharaz merī har ik baat kā mehvar tum ho
mere din-rāt haiñ mansūb tumhīñ se ba-ḳhudā
din kā mehvar bhī ho tum raat kā mehvar tum ho
kyoñ na maqbūl-e-zamāna hoñ hikāyāt mirī
merī tābinda hikāyāt kā mehvar tum ho
ye haqīqat vahī samjheñge jo haiñ ahl-e-nazar
mere sab kashf-o-karāmāt kā mehvar tum ho
kyoñ na pur-soz hoñ ash.ār ġhazal ke merī
mere ash.ār mirī zaat kā mehvar tum ho
mere afkar-o-KHayalat ka mehwar tum ho
al-gharaz meri har ek baat ka mehwar tum ho
mere din-raat hain mansub tumhin se ba-KHuda
din ka mehwar bhi ho tum raat ka mehwar tum ho
kyon na maqbul-e-zamana hon hikayat meri
meri tabinda hikayat ka mehwar tum ho
ye haqiqat wahi samjhenge jo hain ahl-e-nazar
mere sab kashf-o-karamat ka mehwar tum ho
kyon na pur-soz hon ashaar ghazal ke meri
mere ashaar meri zat ka mehwar tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.