mere alfaz se aati hai us dil-dar ki KHushbu
mere alfāz se aatī hai us dil-dār kī ḳhushbū
suḳhan-var huuñ chhupā saktā nahīñ maiñ pyaar kī ḳhushbū
mahaktī haiñ mirī tanhā.iyāñ us shoḳh ke dam se
mo.attar kar rahī mujh ko ḳhayāl-e-yār kī ḳhushbū
chamaktī aañkh surḳhī thartharāte lab mahaktī shab
mujhe in sab se aatī hai visāl-e-yār kī ḳhushbū
isī ummīd par jānam tumhāre shahr aaya huuñ
atā ho be-qarārī ko zarā dīdār kī ḳhushbū
tumhārī ek ḳhāmoshī ishāra kar ga.ī mujh ko
ki aTkī hai kahāñ par lazzat-e-iz.hār kī ḳhushbū
mujhe mahsūs hotī hai zamāne kī satā.ish meñ
maza hai jab nazar aa.e mire kirdār kī ḳhushbū
mere alfaz se aati hai us dil-dar ki KHushbu
suKHan-war hun chhupa sakta nahin main pyar ki KHushbu
mahakti hain meri tanhaiyan us shoKH ke dam se
moattar kar rahi mujh ko KHayal-e-yar ki KHushbu
chamakti aankh surKHi thartharaate lab mahakti shab
mujhe in sab se aati hai visal-e-yar ki KHushbu
isi ummid par jaanam tumhaare shahr aaya hun
ata ho be-qarari ko zara didar ki KHushbu
tumhaari ek KHamoshi ishaara kar gai mujh ko
ki aTki hai kahan par lazzat-e-izhaar ki KHushbu
mujhe mahsus hoti hai zamane ki sataish mein
maza hai jab nazar aae mere kirdar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.