mere andar bhi mere yar si KHamoshi hai
mere andar bhī mire yaar sī ḳhāmoshī hai
ya.anī us paar bhī is paar sī ḳhāmoshī hai
dastakeñ detī huuñ nākām palaT aatī huuñ
ek dar hai jahāñ dīvār sī ḳhāmoshī hai
kis musavvir kā tarāshā huā shahkār hai tū
jo ḳhad-o-ḳhāl meñ kohsār sī ḳhāmoshī hai
saare ehsās masal degī kuchal jā.egī
us ke lab par jo girāñ-bār sī ḳhāmoshī hai
baat sun kar bhī mirī koī samajhtā hī nahīñ
shor kī sat.h pe tahdār sī ḳhāmoshī hai
kyoñ na is ko bhī kisī shakl meñ Dhālā jaa.e
ye jo atrāf meñ be-kār sī ḳhāmoshī hai
baaġh meñ jhūlā na sahrā meñ bagūla koī
samt-dar-samt pur-asrār sī ḳhāmoshī hai
chup kā matlab kabhī isbāt liyā jaatā thā
aaj isbāt meñ inkār sī ḳhāmoshī hai
mere andar bhi mere yar si KHamoshi hai
yani us par bhi is par si KHamoshi hai
dastaken deti hun nakaam palaT aati hun
ek dar hai jahan diwar si KHamoshi hai
kis musawwir ka tarasha hua shahkar hai tu
jo KHad-o-KHal mein kohsar si KHamoshi hai
sare ehsas masal degi kuchal jaegi
us ke lab par jo giran-bar si KHamoshi hai
baat sun kar bhi meri koi samajhta hi nahin
shor ki sath pe tahdar si KHamoshi hai
kyon na is ko bhi kisi shakl mein Dhaala jae
ye jo atraf mein be-kar si KHamoshi hai
bagh mein jhula na sahra mein bagula koi
samt-dar-samt pur-asrar si KHamoshi hai
chup ka matlab kabhi isbaat liya jata tha
aaj isbaat mein inkar si KHamoshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.