mere andar ka shor kam kar de
mere andar kā shor kam kar de
āyateñ paḌh ke mujh pe dam kar de
log mujh ko ḳharīdne se rahe
aa kisī roz daam kam kar de
mere māthe pe apne hoñToñ se
ik na.ī zindagī raqam kar de
maiñ ise ḳharch kar sakūñ khul kar
jab bhī ġham de mujhe to jam kar de
ek terā ḳhayāl hī to hai
jo mirī ruuh tāza-dam kar de
mere andar ka shor kam kar de
aayaten paDh ke mujh pe dam kar de
log mujh ko KHaridne se rahe
aa kisi roz dam kam kar de
mere mathe pe apne honTon se
ek nai zindagi raqam kar de
main ise KHarch kar sakun khul kar
jab bhi gham de mujhe to jam kar de
ek tera KHayal hi to hai
jo meri ruh taza-dam kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.