mere andar sirf main tha dusra koi na tha
mere andar sirf maiñ thā dūsrā koī na thā
shor itnā tez thā par boltā koī na thā
aañkh roī haiñ bahut duniyā kī hālat dekh kar
yuuñ to logoñ se hamārā vāsta koī na thā
aisī duniyā meñ mujhe ik umr tak rahnā paḌā
aañkh thī sab kī vahāñ par dekhtā koī na thā
pustakoñ meñ umr guzrī baal bhī chāñdī hue
mere ḳhātir dil kā darvāza khulā koī na thā
ek arse baad jab aanā huā ghar kī taraf
sirf tanhā.ī thī 'satya' aur bachā koī na thā
mere andar sirf main tha dusra koi na tha
shor itna tez tha par bolta koi na tha
aankh roi hain bahut duniya ki haalat dekh kar
yun to logon se hamara wasta koi na tha
aisi duniya mein mujhe ek umr tak rahna paDa
aankh thi sab ki wahan par dekhta koi na tha
pustakon mein umr guzri baal bhi chandi hue
mere KHatir dil ka darwaza khula koi na tha
ek arse baad jab aana hua ghar ki taraf
sirf tanhai thi 'satya' aur bacha koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.