mere apne bhi nazar aate hain begane se
mere apne bhī nazar aate haiñ begāne se
dāstāñ 'ishq kī sun letā huuñ parvāne se
hosh kho baiThā jo zāhid to mire hosh-rubā
terī tasvīr miTā dī ḳhum-o-paimāne se
terā lahja kisī tūfān kā muḳhbir Thahrā
ham bahalte rahe aḳhbār se afsāne se
tum bhī saaqī se milo kis liye ghabrāte ho
faiz paayā hai baḌe logoñ ne maiḳhāne se
shahr meñ maut kī ḳhāmoshī hai 'ahmad' lekin
ek āvāz pukāre hameñ vīrāne se
mere apne bhi nazar aate hain begane se
dastan 'ishq ki sun leta hun parwane se
hosh kho baiTha jo zahid to mere hosh-ruba
teri taswir miTa di KHum-o-paimane se
tera lahja kisi tufan ka muKHbir Thahra
hum bahalte rahe aKHbar se afsane se
tum bhi saqi se milo kis liye ghabraate ho
faiz paya hai baDe logon ne maiKHane se
shahr mein maut ki KHamoshi hai 'ahmad' lekin
ek aawaz pukare hamein virane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.