mere ashkon ki gai thi rail virane pe kya guzra
mere ashkoñ kī ga.ī thī rail vīrāne pe kyā guzrā
ḳhabar niiñ hazrat-e-majnūñ ke kāshāne pe kyā guzrā
in āñkhoñ ko diyā thā dil vo dīvāne pe kyā guzrā
paḌā thā baat bad-mastoñ ke paimāne pe kyā guzrā
maiñ aur zunnār hai tasbīh-e-sad-dāne pe kyā guzrā
mire kāfir hue setī ḳhudā jaane pe kyā guzrā
diyā dil vasl lene ko bigāḌā ġhair ne saudā
bukā is ġham ke hāthoñ meñ ki begāne pe kyā guzrā
vo zulfeñ bas raqīboñ ke diloñ kī saḳht girheñ thiiñ
kaho mere dil-e-sad-chāk ke shāne pe kyā guzrā
na pūchhā bhuul kar bhī fasl-e-gul meñ shīsha-ḳhū tū ne
ki is pathrāv meñ tifloñ ke dīvāne pe kyā guzrā
phire aate haiñ mastāñ dar-gah-e-pair-e-muġhāñ setī
kiyā thā ḳhāna vīrāñ shaiḳh maiḳhāne pe kyā guzrā
Dhakī thī ātish-e-gul tā-sar-e-dīvār-e-bāġh ab ke
ḳhabar 'uzlat' ko niiñ bulbul ke ḳhas-ḳhāna pe kyā guzrā
mere ashkon ki gai thi rail virane pe kya guzra
KHabar nin hazrat-e-majnun ke kashane pe kya guzra
in aankhon ko diya tha dil wo diwane pe kya guzra
paDa tha baat bad-maston ke paimane pe kya guzra
main aur zunnar hai tasbih-e-sad-dane pe kya guzra
mere kafir hue seti KHuda jaane pe kya guzra
diya dil wasl lene ko bigaDa ghair ne sauda
buka is gham ke hathon mein ki begane pe kya guzra
wo zulfen bas raqibon ke dilon ki saKHt girhen thin
kaho mere dil-e-sad-chaak ke shane pe kya guzra
na puchha bhul kar bhi fasl-e-gul mein shisha-KHu tu ne
ki is pathraw mein tiflon ke diwane pe kya guzra
phire aate hain mastan dar-gah-e-pair-e-mughan seti
kiya tha KHana viran shaiKH maiKHane pe kya guzra
Dhaki thi aatish-e-gul ta-sar-e-diwar-e-bagh ab ke
KHabar 'uzlat' ko nin bulbul ke KHas-KHana pe kya guzra
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.