mere aur apne darmiyan usne
mere aur apne darmiyāñ us ne
kitnā phailā diyā dhuāñ us ne
ḳhud bulātī thī manzil-e-maqsūd
tai na kiiñ apnī dūriyāñ us ne
jin se pahchān thī kabhī us kī
kho diye haiñ vo sab nishāñ us ne
jhuuT bolā nahīñ gayā us se
kar liyā ḳhud ko be-zabāñ us ne
be-ḳhabar hai vo mausamoñ se 'shajar'
band kar lī thiiñ khiḌkiyāñ us ne
mere aur apne darmiyan us ne
kitna phaila diya dhuan us ne
KHud bulati thi manzil-e-maqsud
tai na kin apni duriyan us ne
jin se pahchan thi kabhi us ki
kho diye hain wo sab nishan us ne
jhuT bola nahin gaya us se
kar liya KHud ko be-zaban us ne
be-KHabar hai wo mausamon se 'shajar'
band kar li thin khiDkiyan us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.