mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga
mere ba.ad aur koī mujh sā na aayā hogā
us ke darvāze pe ab tak mirā saaya hogā
jab bhī ā.īne ne muñh us ko chiḌhāyā hogā
kaise ḳhvāboñ kī haqīqat ko chhupāyā hogā
us ne bharpūr nazar jis pe bhī Daalī hogī
chāñd ne us ko kaleje se lagāyā hogā
kis tarah qatl kiyā hogā mirī yādoñ ko
kitnī mushkil se mujhe us ne bhulāyā hogā
jab chalī hogī kahīñ baat kisī shā.ir kī
us ke hoñToñ pe mirā naam to aayā hogā
jo mire baare meñ sochegā har ik pahlū se
vo mirā apnā nahīñ hogā parāyā hogā
us kī palkoñ kā tabassum ye pata detā hai
us ne āñkhoñ meñ koī ḳhvāb sajāyā hogā
sochtā huuñ ki vo insān ba-nām-e-hastī
kaise añgāroñ kī bārish meñ nahāyā hogā
zindagī us kī sulagtā huā sahrā hogī
jo tirī āñkhoñ pe īmān na laayā hogā
terī āñkhoñ meñ samāyā hai jo rañgoñ kī tarah
ho na ho mere ḳhayālāt kā saaya hogā
tum ne 'qaisar' mire ehsās ke vīrāne meñ
mere ḳhvāboñ ko taḌaptā huā paayā hogā
mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga
us ke darwaze pe ab tak mera saya hoga
jab bhi aaine ne munh us ko chiDhaya hoga
kaise KHwabon ki haqiqat ko chhupaya hoga
us ne bharpur nazar jis pe bhi Dali hogi
chand ne us ko kaleje se lagaya hoga
kis tarah qatl kiya hoga meri yaadon ko
kitni mushkil se mujhe us ne bhulaya hoga
jab chali hogi kahin baat kisi shair ki
us ke honTon pe mera nam to aaya hoga
jo mere bare mein sochega har ek pahlu se
wo mera apna nahin hoga paraya hoga
us ki palkon ka tabassum ye pata deta hai
us ne aankhon mein koi KHwab sajaya hoga
sochta hun ki wo insan ba-nam-e-hasti
kaise angaron ki barish mein nahaya hoga
zindagi us ki sulagta hua sahra hogi
jo teri aankhon pe iman na laya hoga
teri aankhon mein samaya hai jo rangon ki tarah
ho na ho mere KHayalat ka saya hoga
tum ne 'qaisar' mere ehsas ke virane mein
mere KHwabon ko taDapta hua paya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.