mere bare mein sochta bhi hai
mere baare meñ sochtā bhī hai
aur mujh se vo kuchh ḳhafā bhī hai
mujh pe kyā tabsira karegā tū
mere baare meñ jāntā bhī hai
tujh ko fir.auniyat dubā.egī
tujh ko ma.alūm hai ḳhudā bhī hai
mujh ko tanhā nahīñ samajhnā tum
saath maañ kī mirī duā bhī hai
cancer kā ilaaj hai lekin
shak kī koī kahīñ davā bhī hai
ghar se niklūñ to kis tarah niklūñ
sirf bārish nahīñ havā bhī hai
mere bare mein sochta bhi hai
aur mujh se wo kuchh KHafa bhi hai
mujh pe kya tabsira karega tu
mere bare mein jaanta bhi hai
tujh ko firauniyat dubaegi
tujh ko malum hai KHuda bhi hai
mujh ko tanha nahin samajhna tum
sath man ki meri dua bhi hai
cancer ka ilaj hai lekin
shak ki koi kahin dawa bhi hai
ghar se niklun to kis tarah niklun
sirf barish nahin hawa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.