mere bahte ashkon mein zaiqa nahin hoga
mere bahte ashkoñ meñ zā.iqa nahīñ hogā
jab talak talātum meñ mo.ajiza nahīñ hogā
sab parind shāḳhoñ se jaañ bachā ke uḌte haiñ
vo jo mar gayā shāyad vo uḌā nahīñ hogā
āsmān vaale ḳhud phir tumheñ girā deñge
gar tumhāre shānoñ par hausla nahīñ hogā
bas guzarne vaale kā itnā dukh to hai mujh ko
ab kabhī kahīñ us se rābta nahīñ hogā
ab hamārī ġhazloñ ko raushnī nahīñ miltī
vo hamāre baare meñ sochtā nahīñ hogā
raushnī havā jaadū sab purāne qisse haiñ
haañ tumhārī āñkhoñ se kuchh sivā nahīñ hogā
maiñ tirī amānat huuñ tū merī amānat hai
ye jo vaqt hai 'sājid' ye sadā nahīñ hogā
mere bahte ashkon mein zaiqa nahin hoga
jab talak talatum mein moajiza nahin hoga
sab parind shaKHon se jaan bacha ke uDte hain
wo jo mar gaya shayad wo uDa nahin hoga
aasman wale KHud phir tumhein gira denge
gar tumhaare shanon par hausla nahin hoga
bas guzarne wale ka itna dukh to hai mujh ko
ab kabhi kahin us se rabta nahin hoga
ab hamari ghazlon ko raushni nahin milti
wo hamare bare mein sochta nahin hoga
raushni hawa jadu sab purane qisse hain
han tumhaari aankhon se kuchh siwa nahin hoga
main teri amanat hun tu meri amanat hai
ye jo waqt hai 'sajid' ye sada nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.