mere chehre ki siyahi ka pata de koi
mere chehre kī siyāhī kā patā de koī
aa.ine mere muqābil se haTā de koī
dasht-dar-dasht yahāñ phail rahe haiñ saa.e
shahr-e-gul-rez se phir mujh ko sadā de koī
ālam-e-yās meñ ḳhvāboñ meñ utarnā terā
jaise bīmār ko jiine kī du'ā de koī
marg-e-amboh meñ ab jashn kā pahlū bhī nahīñ
āsmāñ āḳhirī manzar to dikhā de koī
mere chehre ki siyahi ka pata de koi
aaine mere muqabil se haTa de koi
dasht-dar-dasht yahan phail rahe hain sae
shahr-e-gul-rez se phir mujh ko sada de koi
aalam-e-yas mein KHwabon mein utarna tera
jaise bimar ko jine ki du'a de koi
marg-e-amboh mein ab jashn ka pahlu bhi nahin
aasman aaKHiri manzar to dikha de koi
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 70)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.