mere chehre mein koi aur hi chehra dekhe
mere chehre meñ koī aur hī chehra dekhe
vaqt māthe kī lakīroñ meñ vo Thahrā dekhe
sab ko detī hai alag rañg ye tasvīr-e-hayāt
sabz gulshan to koī dhuul kā sahrā dekhe
us ke hāthoñ meñ jo rahtī hai vo ta.abīr rahe
kyuuñ magar de ke mire ḳhvāb pe pahrā dekhe
us ko ehsās kī nāyāb guhar milte haiñ
Duub kar bahr-e-taḳhayyul meñ jo gahrā dekhe
naam likkhā hai anokhā sā kahīñ ek 'faroġh'
dil mohabbat kā har ik baab sunahrā dekhe
mere chehre mein koi aur hi chehra dekhe
waqt mathe ki lakiron mein wo Thahra dekhe
sab ko deti hai alag rang ye taswir-e-hayat
sabz gulshan to koi dhul ka sahra dekhe
us ke hathon mein jo rahti hai wo tabir rahe
kyun magar de ke mere KHwab pe pahra dekhe
us ko ehsas ki nayab guhar milte hain
Dub kar bahr-e-taKHayyul mein jo gahra dekhe
nam likkha hai anokha sa kahin ek 'farogh'
dil mohabbat ka har ek bab sunahra dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.