mere data tere siwa kya ho
mere daatā tire sivā kyā ho
kisī darbār se atā kyā ho
zindagī zindagī jise kahiye
us se baḌh kar koī balā kyā ho
jo kirā.e ke ghar badalte haiñ
un kā ik mustaqil pata kyā ho
maañ jo tere liye uThā.e haath
us se baḌh kar koī duā kyā ho
qatl ġhārat-garī-o-Dāka-zanī
is kā anjām ai ḳhudā kyā ho
maiñ bhī muhtāj vaqt bhī nādār
phir diyā kyā ho aur liyā kyā ho
bazm meñ yuuñ chale to jā.eñge
ye batāo ki mudda.ā kyā ho
jab ibārat hai zindagī is se
dard-e-dil kī koī davā kyā ho
be-ruḳhī vo barat rahe haiñ 'jamāl'
ibtidā ye to intihā kyā ho
mere data tere siwa kya ho
kisi darbar se ata kya ho
zindagi zindagi jise kahiye
us se baDh kar koi bala kya ho
jo kirae ke ghar badalte hain
un ka ek mustaqil pata kya ho
man jo tere liye uThae hath
us se baDh kar koi dua kya ho
qatl ghaarat-gari-o-Daka-zani
is ka anjam ai KHuda kya ho
main bhi muhtaj waqt bhi nadar
phir diya kya ho aur liya kya ho
bazm mein yun chale to jaenge
ye batao ki muddaa kya ho
jab ibarat hai zindagi is se
dard-e-dil ki koi dawa kya ho
be-ruKHi wo barat rahe hain 'jamal'
ibtida ye to intiha kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.