mere dil-e-wahshi ki bas itni haqiqat hai
mere dil-e-vahshī kī bas itnī haqīqat hai
ik dard kā aalam hai duniyā-e-mohabbat hai
hamdard kisī kā ab duniyā meñ nahīñ koī
badlā huā har ik kā andāz-e-tabī.at hai
rūdād-e-shahīdāñ hai īsār kā ā.īna
īsār kā ā.īna shahkār-e-haqīqat hai
har ġhuncha-e-naurasta kahtā hai ye gulchīñ se
phūloñ pe sitam Dhānā anjām se ġhaflat hai
gulzār-e-vatan kā kyoñ har dam na ḳhayāl aa.e
dil ke liye kāñTā sā ye vādī-e-ġhurbat hai
mujh par jo guzartī hai auroñ kī balā jaane
sahnā hai mujhe ḳhud hī ye merī musībat hai
aakar mirī mizhgāñ par jab ashk chamakte haiñ
vo kahte haiñ motī haiñ allāh kī qudrat hai
naġhmāt-e-'sa.ādat' meñ ik gul ke ta.alluq se
kaliyoñ kī nazākat hai shabnam kī latāfat hai
mere dil-e-wahshi ki bas itni haqiqat hai
ek dard ka aalam hai duniya-e-mohabbat hai
hamdard kisi ka ab duniya mein nahin koi
badla hua har ek ka andaz-e-tabiat hai
rudad-e-shahidan hai isar ka aaina
isar ka aaina shahkar-e-haqiqat hai
har ghuncha-e-naurasta kahta hai ye gulchin se
phulon pe sitam Dhana anjam se ghaflat hai
gulzar-e-watan ka kyon har dam na KHayal aae
dil ke liye kanTa sa ye wadi-e-ghurbat hai
mujh par jo guzarti hai auron ki bala jaane
sahna hai mujhe KHud hi ye meri musibat hai
aakar meri mizhgan par jab ashk chamakte hain
wo kahte hain moti hain allah ki qudrat hai
naghmat-e-'saadat' mein ek gul ke talluq se
kaliyon ki nazakat hai shabnam ki latafat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.