mere dil ke ye dagh sare hain
mere dil ke ye daaġh saare haiñ
āsmāñ par jo chāñd taare haiñ
kyā nirāle haiñ khel ulfat ke
jītne vaale khel haare haiñ
vahī samjheñge kuchh musībat ko
jis ne ro ro ke din guzāre haiñ
jin ko ġhairoñ ke saath dekhā hai
kaise kah deñ ki vo hamāre haiñ
har tarah jo vatan ke kaam aa.eñ
vo vatan meñ hī be-sahāre haiñ
kal jahāñ shāKٓH-e-āshiyāna thī
aaj kuchh raakh kuchh sharāre haiñ
āsmāñ jagmagātā thā jin se
merī aahoñ ke vo sharāre haiñ
hū kā aalam hai chaar samt 'riyāz'
gardish-e-vaqt ke nazāre haiñ
mere dil ke ye dagh sare hain
aasman par jo chand tare hain
kya nirale hain khel ulfat ke
jitne wale khel haare hain
wahi samjhenge kuchh musibat ko
jis ne ro ro ke din guzare hain
jin ko ghairon ke sath dekha hai
kaise kah den ki wo hamare hain
har tarah jo watan ke kaam aaen
wo watan mein hi be-sahaare hain
kal jahan shaKٓH-e-ashiyana thi
aaj kuchh rakh kuchh sharare hain
aasman jagmagata tha jin se
meri aahon ke wo sharare hain
hu ka aalam hai chaar samt 'riyaz'
gardish-e-waqt ke nazare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.