mere dil ko biTha diya kis ne
mere dil ko biThā diyā kis ne
aa ke ka.abe ko Dhā diyā kis ne
pūchho apne hī ġhamze se ki mujhe
ḳhaak meñ hī milā diyā kis ne
kyā tamāshā hai pūchhte haiñ vahī
tere ghar ko luTā diyā kis ne
shab-e-furqat meñ kyā na ham khāte
ham ko par zahr lā diyā kis ne
vo jalā dete haiñ jo ḳhat merā
un ko 'ārif' paḌhā diyā kis ne
mere dil ko biTha diya kis ne
aa ke kabe ko Dha diya kis ne
puchho apne hi ghamze se ki mujhe
KHak mein hi mila diya kis ne
kya tamasha hai puchhte hain wahi
tere ghar ko luTa diya kis ne
shab-e-furqat mein kya na hum khate
hum ko par zahr la diya kis ne
wo jala dete hain jo KHat mera
un ko 'arif' paDha diya kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.