mere dil ko is tarah lagta tumhaara bojh hai
mere dil ko is tarah lagtā tumhārā bojh hai
jis tarah be-nūr āñkhoñ ko nazāra bojh hai
ham ko kyā matlab hasīñ hogī to hogī umr ye
ham yatīmoñ ke liye bachpan hamārā bojh hai
donoñ kañdhe jhuk ga.e aThra baras kī umr meñ
mujh akelī jaan par saare kā saarā bojh hai
āsmānoñ par bhī raa.ij hai zamīñ jaisā nizām
dekh uupar āj-kal koī sitāra bojh hai
sar pe phirtī hai liye vo apne pahle ishq ko
kitnī pyārī laḌkī hai aur kitnā pyārā bojh hai
sar pe mere pahle se thiiñ ghar kī zimmedāriyāñ
aur ab ye ishq yaaro kitnā saarā bojh hai
mere dil ko is tarah lagta tumhaara bojh hai
jis tarah be-nur aankhon ko nazara bojh hai
hum ko kya matlab hasin hogi to hogi umr ye
hum yatimon ke liye bachpan hamara bojh hai
donon kandhe jhuk gae aThra baras ki umr mein
mujh akeli jaan par sare ka sara bojh hai
aasmanon par bhi raij hai zamin jaisa nizam
dekh upar aaj-kal koi sitara bojh hai
sar pe phirti hai liye wo apne pahle ishq ko
kitni pyari laDki hai aur kitna pyara bojh hai
sar pe mere pahle se thin ghar ki zimmedariyan
aur ab ye ishq yaro kitna sara bojh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.