mere dil ko musibat jhel kar aaram aata hai
mere dil ko musībat jhel kar ārām aatā hai
ye vo taa.ir hai jo ḳhud uḌ ke zer-e-dām aatā hai
nasheman chhūTne par bhī kahāñ ārām aatā hai
qafas meñ bhī rihā.ī kā ḳhayāl-e-ḳhām aatā hai
kabhī thī fikr piine kī magar ab fikr hai pī kar
bahaktā huuñ to mere zarf par ilzām aatā hai
mirī majbūriyāñ bantī haiñ jab bhī paañv kī beḌī
to phir us vaqt merā shauq mere kaam aatā hai
ḳhabar kyā thī tirī dariyā-dilī maḳhsūs hai saaqī
mire hisse meñ jab aatā hai ḳhālī jaam aatā hai
surāhī aa ga.ī saaqī bhī aaya jam chukī mahfil
magar ye dekhnā hai raqs meñ kab jaam aatā hai
koī ai 'soz' kuchh kahtā nahīñ hai sham-e-mahfil ko
patange hī ke sar jalne kā bhī ilzām aatā hai
mere dil ko musibat jhel kar aaram aata hai
ye wo tair hai jo KHud uD ke zer-e-dam aata hai
nasheman chhuTne par bhi kahan aaram aata hai
qafas mein bhi rihai ka KHayal-e-KHam aata hai
kabhi thi fikr pine ki magar ab fikr hai pi kar
bahakta hun to mere zarf par ilzam aata hai
meri majburiyan banti hain jab bhi panw ki beDi
to phir us waqt mera shauq mere kaam aata hai
KHabar kya thi teri dariya-dili maKHsus hai saqi
mere hisse mein jab aata hai KHali jam aata hai
surahi aa gai saqi bhi aaya jam chuki mahfil
magar ye dekhna hai raqs mein kab jam aata hai
koi ai 'soz' kuchh kahta nahin hai sham-e-mahfil ko
patange hi ke sar jalne ka bhi ilzam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.