mere dil mein kyon pahla sa dard nahin aalam nahin
mere dil mein kyon pahla sa dard nahin aalam nahin
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
mere dil meñ kyoñ pahlā sā dard nahīñ ālām nahīñ
mil to gayā hai qismat se ārām magar ārām nahīñ
saaqī terī mahfil meñ ye turfa-tamāsha kyā ma.anī
mere haath meñ saaz hai lekin tere haath meñ jaam nahīñ
ġhuncha chaTkā pattā khaḌkā yā dil dhaḌkā kis ko ḳhabar
kuchh bhī sahī ai mai-ḳhvāro āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ
ḳhidmat-e-urdu pesh-e-nazar hai 'ahsan' kā pesha na samajh
ahl-e-suḳhan meñ naam hai be-shak lekin vo badnām nahīñ
mere dil mein kyon pahla sa dard nahin aalam nahin
mil to gaya hai qismat se aaram magar aaram nahin
saqi teri mahfil mein ye turfa-tamasha kya mani
mere hath mein saz hai lekin tere hath mein jam nahin
ghuncha chaTka patta khaDka ya dil dhaDka kis ko KHabar
kuchh bhi sahi ai mai-KHwaro aawaz-e-shikast-e-jam nahin
KHidmat-e-urdu pesh-e-nazar hai 'ahsan' ka pesha na samajh
ahl-e-suKHan mein nam hai be-shak lekin wo badnam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.