mere dukh mein sada kare koi
mere dukh meñ sadā kare koī
kaash apnā kahā kare koī
bhuul jaa.eñ purāne dard magar
zaḳhm bhī to nayā kare koī
sab yahāñ nafratoñ se jiite haiñ
pyaar se bhī jiyā kare koī
mall meñ milne ke nahīñ qaa.il
baaġh meñ bhī milā kare koī
ye saḌak gaañv se mile lekin
gaañv meñ bhī milā kare koī
vasl karte haiñ sab gale lag kar
hijr meñ ye kiyā kare koī
mere dukh mein sada kare koi
kash apna kaha kare koi
bhul jaen purane dard magar
zaKHm bhi to naya kare koi
sab yahan nafraton se jite hain
pyar se bhi jiya kare koi
mall mein milne ke nahin qail
bagh mein bhi mila kare koi
ye saDak ganw se mile lekin
ganw mein bhi mila kare koi
wasl karte hain sab gale lag kar
hijr mein ye kiya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.