mere ehsas-e-junun ka tarjuman hona hi tha
mere ehsās-e-junūñ kā tarjumāñ honā hī thā
ek din to hāl-e-dil un par ayaañ honā hī thā
shiddat-e-ehsās apnī dekh kar itnā na Dar
ye vo jazba hai jise ik din javāñ honā hī thā
apnī manzil ke liye jo rāsta maiñ ne chunā
us pe raushan tere qadmoñ kā nishāñ honā hī thā
naqsh ho kar rah ga.ī vo muskurāhaT zehn par
ye vo lamha thā jo āḳhir jāvedāñ honā hī thā
hai pas-e-nazm-e-anāsir koī poshīda zarūr
baaġh hai duniyā agar to bāġhbāñ honā hī thā
dekh kar vo husn ham itnā hī kah paa.e ki vaah
aur is ke baad dil ko be-zabāñ honā hī thā
thā kahāñ itnā aham vo diid kā lamha mirā
lekin us ko bhī to zeb-e-dāstāñ honā hī thā
nā-munāsib hī sahī merā bahak jaanā magar
dekh kar us ko nasha kuchh to miyāñ honā hī thā
mujh se gar rūThe hue rahte bhī to vo kab talak
ek din to un ko mujh pe mehrbāñ honā hī thā
mere ehsas-e-junun ka tarjuman hona hi tha
ek din to haal-e-dil un par ayan hona hi tha
shiddat-e-ehsas apni dekh kar itna na Dar
ye wo jazba hai jise ek din jawan hona hi tha
apni manzil ke liye jo rasta main ne chuna
us pe raushan tere qadmon ka nishan hona hi tha
naqsh ho kar rah gai wo muskurahaT zehn par
ye wo lamha tha jo aaKHir jawedan hona hi tha
hai pas-e-nazm-e-anasir koi poshida zarur
bagh hai duniya agar to baghban hona hi tha
dekh kar wo husn hum itna hi kah pae ki wah
aur is ke baad dil ko be-zaban hona hi tha
tha kahan itna aham wo did ka lamha mera
lekin us ko bhi to zeb-e-dastan hona hi tha
na-munasib hi sahi mera bahak jaana magar
dekh kar us ko nasha kuchh to miyan hona hi tha
mujh se gar ruThe hue rahte bhi to wo kab talak
ek din to un ko mujh pe mehrban hona hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.