mere gale pe jame hath mere apne hain
mere gale pe jame haath mere apne haiñ
jo laḌ rahe haiñ mire saath mere apne haiñ
shikast khā ke bhī maiñ fat.h ke julūs meñ huuñ
ki de ga.e jo mujhe maat mere apne haiñ
merī tarah se ye kachche gharoñ meñ rahte haiñ
jo gher laa.e haiñ barsāt mere apne haiñ
agar nahīñ haiñ ye shams-o-qamar mire bas meñ
yahī bahut hai ye din-rāt mere apne haiñ
koī sune na sune koī daad de ki na de
yahī bahut hai ḳhayālāt mere apne haiñ
kisī ke dil meñ basā huuñ kisī kī āñkhoñ meñ
ye TūTe-phūTe kamālāt mere apne haiñ
mere gale pe jame hath mere apne hain
jo laD rahe hain mere sath mere apne hain
shikast kha ke bhi main fath ke julus mein hun
ki de gae jo mujhe mat mere apne hain
meri tarah se ye kachche gharon mein rahte hain
jo gher lae hain barsat mere apne hain
agar nahin hain ye shams-o-qamar mere bas mein
yahi bahut hai ye din-raat mere apne hain
koi sune na sune koi dad de ki na de
yahi bahut hai KHayalat mere apne hain
kisi ke dil mein basa hun kisi ki aankhon mein
ye TuTe-phuTe kamalat mere apne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.