mere gale se aan ke pyara jo phir lage
mere gale se aan ke pyārā jo phir lage
ye abr ye bahār mujhe ḳhūb-tar lage
bin dekhe us pyāre ke āñkhoñ ne apnā haal
aisā kiyā hai jaise ki bārāñ kā jhaḌ lage
mat is adā o naaz se gulshan meñ kar guzar
Dartā huuñ maiñ mabādā kisī kī nazar lage
ho chaar chashm kaun sake aise yaar se
āñkhoñ ke dekhte hī piyā kī ḳhatar lage
har lail o har nahār tirī zāt-e-pāk se
kahtā hai 'āftāb' duā-e-sahar lage
mere gale se aan ke pyara jo phir lage
ye abr ye bahaar mujhe KHub-tar lage
bin dekhe us pyare ke aankhon ne apna haal
aisa kiya hai jaise ki baran ka jhaD lage
mat is ada o naz se gulshan mein kar guzar
Darta hun main mabaada kisi ki nazar lage
ho chaar chashm kaun sake aise yar se
aankhon ke dekhte hi piya ki KHatar lage
har lail o har nahaar teri zat-e-pak se
kahta hai 'aftab' dua-e-sahar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.