mere ghar ke sare bartan ab purane ho gae
mere ghar ke saare bartan ab purāne ho ga.e
jo 'ibādat kī jagah thī ġhusl-ḳhāne ho ga.e
ghar muqaffal ho gayā hai ik na.ī tā'mīr ko
ghar meñ rahne vaale panchhī be-Thikāne ho ga.e
jis galī meñ pasliyāñ TuuTī thiiñ mere 'ishq kī
us galī se ab to guzre bhī zamāne ho ga.e
kar rahe the ābshāroñ kī baḌī tā'rīf sab
sāmne jo mai-kade aa.e Thikāne ho ga.e
shādiyāñ aisī bhī dekhīñ bachpane meñ bā-ḳhudā
jab gharoñ kī chādareñ hī shāmiyāne ho ga.e
jin gunahgāroñ ko dene log aa.e haiñ sazā
un ko to dariyā meñ Duube ik zamāne ho ga.e
kab tirī tīmārdārī se milī fursat mujhe
ghar bhī lagtā hai davā ke kār-ḳhāne ho ga.e
dasht kī ab be-ruḳhī se aa ga.e 'ājiz 'adīb'
peḌ būḌhe ho ga.e panchhī siyāne ho ga.e
mere ghar ke sare bartan ab purane ho gae
jo 'ibaadat ki jagah thi ghusl-KHane ho gae
ghar muqaffal ho gaya hai ek nai ta'mir ko
ghar mein rahne wale panchhi be-Thikane ho gae
jis gali mein pasliyan TuTi thin mere 'ishq ki
us gali se ab to guzre bhi zamane ho gae
kar rahe the aabshaaron ki baDi ta'rif sab
samne jo mai-kade aae Thikane ho gae
shadiyan aisi bhi dekhin bachpane mein ba-KHuda
jab gharon ki chadaren hi shamiyane ho gae
jin gunahgaron ko dene log aae hain saza
un ko to dariya mein Dube ek zamane ho gae
kab teri timardari se mili fursat mujhe
ghar bhi lagta hai dawa ke kar-KHane ho gae
dasht ki ab be-ruKHi se aa gae 'ajiz 'adib'
peD buDhe ho gae panchhi siyane ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.