mere ghar mein rahta hai dar-ba-dar ka sannaTa
mere ghar meñ rahtā hai dar-ba-dar kā sannāTā
ik jagah simaT aayā shahr-bhar kā sannāTā
ḳhāmushī pe rotī haiñ mere ghar kī dīvāreñ
chīḳhtā hai is ġham meñ bām-o-dar kā sannāTā
'arse baa'd jab us ne ġhaur se mujhe dekhā
kah gayā thā sau bāteñ ik nazar kā sannāTā
bhiiḌ meñ bhī tanhā.ī pahle to na thī aisī
mujh meñ aaj dar aayā ye kidhar kā sannāTā
ik nishānī māñgī thī us se jiine kī ḳhātir
de gayā vo tohfe meñ 'umr-bhar kā sannāTā
jab bhī tanhā jaatī huuñ us taraf meñ 'farzāna'
aaj tak rulātā hai rah-guzar kā sannāTā
mere ghar mein rahta hai dar-ba-dar ka sannaTa
ek jagah simaT aaya shahr-bhar ka sannaTa
KHamushi pe roti hain mere ghar ki diwaren
chiKHta hai is gham mein baam-o-dar ka sannaTa
'arse ba'd jab us ne ghaur se mujhe dekha
kah gaya tha sau baaten ek nazar ka sannaTa
bhiD mein bhi tanhai pahle to na thi aisi
mujh mein aaj dar aaya ye kidhar ka sannaTa
ek nishani mangi thi us se jine ki KHatir
de gaya wo tohfe mein 'umr-bhar ka sannaTa
jab bhi tanha jati hun us taraf mein 'farzana'
aaj tak rulata hai rah-guzar ka sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.