mere gul ka jo koi lutf-o-karam dekha hai
mere gul kā jo koī lutf-o-karam dekhā hai
husn aur ḳhalq ke ta.iiñ us ne baham dekhā hai
tere abrū ke muqābil to hilāl-āsā hai
har kamāñ-abrū kī qāmat ko bhī ḳham dekhā hai
chashm-e-altāf se us mast nayan kī hai kamāñ
ki kisī vaqt mire dīda-e-nam dekhā hai
kahte haiñ dār-e-mehan hai ye jahān-e-fānī
kaun vo shaḳhs hai jin ne ki na ġham dekhā hai
ashk aur aah se hai 'ishq' kā raushan e.ajāz
aab o ātish ko kisū ne bhī baham dekhā hai
mere gul ka jo koi lutf-o-karam dekha hai
husn aur KHalq ke tain us ne baham dekha hai
tere abru ke muqabil to hilal-asa hai
har kaman-abru ki qamat ko bhi KHam dekha hai
chashm-e-altaf se us mast nayan ki hai kaman
ki kisi waqt mere dida-e-nam dekha hai
kahte hain dar-e-mehan hai ye jahan-e-fani
kaun wo shaKHs hai jin ne ki na gham dekha hai
ashk aur aah se hai 'ishq' ka raushan eajaz
aab o aatish ko kisu ne bhi baham dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.