mere ghurbat ke dinon mein hausla de jaega
mere ġhurbat ke dinoñ meñ hausla de jā.egā
dost mere tū ḳhushī kī ik sadā de jā.egā
jab kisī kī aañkh kā aañsū ho jama.a suukh kar
dekhnā tum ye hī aañsū zalzala de jā.egā
dhaḌkanoñ meñ hai basāyā tū ne jis ko raat din
jaane kis din tujh ko vo dilbar jafā de jā.egā
zaḳhm saare bhar maiñ dūñgā yuuñ kahā us ne kabhī
kyā ḳhabar thī zahr meñ Duubī havā de jā.egā
mere ghurbat ke dinon mein hausla de jaega
dost mere tu KHushi ki ek sada de jaega
jab kisi ki aankh ka aansu ho jama sukh kar
dekhna tum ye hi aansu zalzala de jaega
dhaDkanon mein hai basaya tu ne jis ko raat din
jaane kis din tujh ko wo dilbar jafa de jaega
zaKHm sare bhar main dunga yun kaha us ne kabhi
kya KHabar thi zahr mein Dubi hawa de jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.