mere haalat ka har ek sabab jaanta hai
mere hālāt kā har ek sabab jāntā hai
ḳhāliq-e-zīst hai vo nām-o-nasab jāntā hai
kaun sī baat pe nārāz huuñ kis baat se ḳhush
jo mire dil meñ basā hai vo ye sab jāntā hai
jo palaT kar nahīñ aate vo kahāñ jaate haiñ
un ke jaane kā kahāñ koī sabab jāntā hai
us se poshīda nahīñ haal hamāre dil kā
kyā chhupā.egā koī ḳhud ko vo sab jāntā hai
koī bhī harf tire naam pe aa.egā nahīñ
dil mohabbat ke usuul aur adab jāntā hai
mere haalat ka har ek sabab jaanta hai
KHaliq-e-zist hai wo nam-o-nasab jaanta hai
kaun si baat pe naraaz hun kis baat se KHush
jo mere dil mein basa hai wo ye sab jaanta hai
jo palaT kar nahin aate wo kahan jate hain
un ke jaane ka kahan koi sabab jaanta hai
us se poshida nahin haal hamare dil ka
kya chhupaega koi KHud ko wo sab jaanta hai
koi bhi harf tere nam pe aaega nahin
dil mohabbat ke usul aur adab jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.