mere haalat se munh moD ke jaane wale
mere hālāt se muñh moḌ ke jaane vaale
tujh se kuchh pūchh rahe haiñ ye zamāne vaale
dekh kar tujh ko vo ab raah badal lete haiñ
merī āvāz se āvāz milāne vaale
tū bhī aa jā.egā hālāt kī zad meñ ik din
merī barbādī ke afsāne sunāne vaale
jānib-e-shahr-e-vafā soch samajh kar jaanā
lauT ke aate nahīñ haiñ vahāñ jaane vaale
dil ke is TūTte rishte kā bharam rah jaa.e
ik nazar dekh le ai ruuTh ke jaane vaale
aa kabhī dekh mirā hāl-e-judā.ī aa kar
ġhair kī bazm meñ ai hañsne hañsāne vaale
vaqt se sīkhā hai maiñ ne ye hunar jiine kā
ḳhud hī gir jaate haiñ auroñ ko girāne vaale
'mehrbāñ' dil kā hai nāzuk ye zarā yaad rahe
ai mire dil pe na.e zaḳhm lagāne vaale
mere haalat se munh moD ke jaane wale
tujh se kuchh puchh rahe hain ye zamane wale
dekh kar tujh ko wo ab rah badal lete hain
meri aawaz se aawaz milane wale
tu bhi aa jaega haalat ki zad mein ek din
meri barbaadi ke afsane sunane wale
jaanib-e-shahr-e-wafa soch samajh kar jaana
lauT ke aate nahin hain wahan jaane wale
dil ke is TuTte rishte ka bharam rah jae
ek nazar dekh le ai ruTh ke jaane wale
aa kabhi dekh mera haal-e-judai aa kar
ghair ki bazm mein ai hansne hansane wale
waqt se sikha hai main ne ye hunar jine ka
KHud hi gir jate hain auron ko girane wale
'mehrban' dil ka hai nazuk ye zara yaad rahe
ai mere dil pe nae zaKHm lagane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.