mere hathon mein kuchh gulab to hain
mere hāthoñ meñ kuchh gulāb to haiñ
jo na mumkin rahe vo ḳhvāb to haiñ
rang bikhre haiñ chār-sū mere
reg-zāroñ meñ kuchh sarāb to haiñ
terī chāhat kī aarzū na sahī
ham tire sāya-e-itāb to haiñ
lafz Dhalne lage haiñ ma.anī meñ
zindagī se mile javāb to haiñ
raushnī sī rahī daraḳhtoñ par
jangaloñ par rahe shabāb to haiñ
raat ke manzar-e-ḳhamoshī meñ
chhiḌ ga.e naġhma-e-rabāb to haiñ
is zamāne kī kyā haqīqat hai
sāhil-e-vaqt par habāb to haiñ
mere hathon mein kuchh gulab to hain
jo na mumkin rahe wo KHwab to hain
rang bikhre hain chaar-su mere
reg-zaron mein kuchh sarab to hain
teri chahat ki aarzu na sahi
hum tere saya-e-itab to hain
lafz Dhalne lage hain mani mein
zindagi se mile jawab to hain
raushni si rahi daraKHton par
jangalon par rahe shabab to hain
raat ke manzar-e-KHamoshi mein
chhiD gae naghma-e-rabab to hain
is zamane ki kya haqiqat hai
sahil-e-waqt par habab to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.