mere haq mein nahin haalat nahin manti main
mere haq meñ nahīñ hālāt nahīñ māntī maiñ
gardish-e-vaqt tirī baat nahīñ māntī maiñ
ek payāde kī ye auqāt nahīñ māntī maiñ
bādshāhoñ ko bhī de maat nahīñ māntī maiñ
zindagī jaise guzartī hai vo dil jāntā hai
zindagī ko tirī sauġhāt nahīñ māntī maiñ
saath denā hai to phir haath bhī denā hogā
do kināroñ kī tarah saat nahīñ māntī maiñ
ye to jugnū kī chamak se bhī saham jaatī hai
sar-kashīda hai bahut raat nahīñ māntī maiñ
rang aur nasl se dil kā nahīñ rishta koī
ishq kī bhī ho koī zaat nahīñ māntī maiñ
jis se āñgan meñ mire phuul nahīñ khil sakte
aisī barsāt ko barsāt nahīñ māntī maiñ
haath milte haiñ magar dil nahīñ milte 'shabnam'
aise milne ko mulāqāt nahīñ māntī maiñ
mere haq mein nahin haalat nahin manti main
gardish-e-waqt teri baat nahin manti main
ek payaade ki ye auqat nahin manti main
baadshahon ko bhi de mat nahin manti main
zindagi jaise guzarti hai wo dil jaanta hai
zindagi ko teri saughat nahin manti main
sath dena hai to phir hath bhi dena hoga
do kinaron ki tarah sat nahin manti main
ye to jugnu ki chamak se bhi saham jati hai
sar-kashida hai bahut raat nahin manti main
rang aur nasl se dil ka nahin rishta koi
ishq ki bhi ho koi zat nahin manti main
jis se aangan mein mere phul nahin khil sakte
aisi barsat ko barsat nahin manti main
hath milte hain magar dil nahin milte 'shabnam'
aise milne ko mulaqat nahin manti main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.