mere hi aas-pas ho tum bhi
mere hī ās-pās ho tum bhī
in dinoñ kuchh udaas ho tum bhī
bārhā baat jiine marne kī
ek bikhrī sī aas ho tum bhī
sail-e-naġhma pe itnī hairat kyuuñ
is namī se shanās ho tum bhī
maiñ bhī Duubā huuñ āsmānoñ meñ
ḳhvāb meñ mahv-e-yās ho tum bhī
maiñ huuñ TuuTā sā paimāna
ek ḳhālī gilās ho tum bhī
gar maiñ dukh se sajā huā huuñ to
rañj se ḳhush-libās ho tum bhī
apnī fitrat kā maiñ bhī maarā huuñ
apnī aadat ke daas ho tum bhī
merī miTTī bhī ret kī sī hai
aur sahrā kī pyaas ho tum bhī
mere hi aas-pas ho tum bhi
in dinon kuchh udas ho tum bhi
barha baat jine marne ki
ek bikhri si aas ho tum bhi
sail-e-naghma pe itni hairat kyun
is nami se shanas ho tum bhi
main bhi Duba hun aasmanon mein
KHwab mein mahw-e-yas ho tum bhi
main hun TuTa sa paimana
ek KHali gilas ho tum bhi
gar main dukh se saja hua hun to
ranj se KHush-libas ho tum bhi
apni fitrat ka main bhi mara hun
apni aadat ke das ho tum bhi
meri miTTi bhi ret ki si hai
aur sahra ki pyas ho tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.