mere hisse meñ ab bachā kyā hai
ab sunā do ki faisla kyā hai
us kā sāhil bhī Duub jā.egā
us kī sāzish meñ ye chhupā kyā hai
vo jo mil jaa.e us se pūchhūñgā
mere baare meñ sochtā kyā hai
jis se rishta nahīñ hai ab koī
us se milne meñ phir burā kyā hai
sochtā huuñ ki is zamāne se
bach nikalne kā rāsta kyā hai
tū ḳhudāoñ se ghir gayā nāseh
terī bātoñ meñ ab dharā kyā hai
us kā ehsās hai magar 'sarvar'
maiñ nahīñ jāntā ḳhudā kyā hai
mere hisse mein ab bacha kya hai
ab suna do ki faisla kya hai
us ka sahil bhi Dub jaega
us ki sazish mein ye chhupa kya hai
wo jo mil jae us se puchhunga
mere bare mein sochta kya hai
jis se rishta nahin hai ab koi
us se milne mein phir bura kya hai
sochta hun ki is zamane se
bach nikalne ka rasta kya hai
tu KHudaon se ghir gaya naseh
teri baaton mein ab dhara kya hai
us ka ehsas hai magar 'sarwar'
main nahin jaanta KHuda kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.