mere hone ka tamasha nahin hone deta
mere hone kā tamāshā nahīñ hone detā
zarf dhīmā mirā lahja nahīñ hone detā
jhiil kī tarah mujhe qaid kiyā hai us ne
mere jazbāt ko dariyā nahīñ hone detā
istiānat vo bahar-hāl kiyā kartā hai
merā mālik mujhe rusvā nahīñ hone detā
merī aadat hai ki poshīda madad kartā huuñ
apne hamsā.e ko rusvā nahīñ hone detā
nit na.e dard diyā kartā hai dilbar mujh ko
ġham-e-duniyā ko akelā nahīñ hone detā
jis ko paalā ki buḌhāpe kī banegā lāThī
ḳhud kā beTā ye sahārā nahīñ hone detā
Daal detā hai vo rishtoñ meñ darāḌeñ 'az.har'
bhā.iyoñ ko kabhī yakjā nahīñ hone detā
mere hone ka tamasha nahin hone deta
zarf dhima mera lahja nahin hone deta
jhil ki tarah mujhe qaid kiya hai us ne
mere jazbaat ko dariya nahin hone deta
istianat wo bahar-haal kiya karta hai
mera malik mujhe ruswa nahin hone deta
meri aadat hai ki poshida madad karta hun
apne hamsae ko ruswa nahin hone deta
nit nae dard diya karta hai dilbar mujh ko
gham-e-duniya ko akela nahin hone deta
jis ko pala ki buDhape ki banega laThi
KHud ka beTa ye sahaara nahin hone deta
Dal deta hai wo rishton mein daraDen 'azhar'
bhaiyon ko kabhi yakja nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.