mere hone ke wo nishan khole
mere hone ke vo nishāñ khole
aag ke mā'nī to dhuāñ khole
dā.era-vār mahv-e-harkat haiñ
koī tāroñ kī rassiyāñ khole
rang-e-dīvār-e-ḳhasta ko badle
zang-ālūd khiḌkiyāñ khole
kaun duniyā ke baare meñ soche
kaun ye uljhī gutthiyāñ khole
maiñ ne kis kis jagah tumheñ dekhā
maiñ ne baazū kahāñ kahāñ khole
peḌ sunte haiñ guftugū us kī
phuul takte haiñ pattiyāñ khole
baar kuchh kam ho siine se 'qāsim'
koī tā'vīz rā.egāñ khole
mere hone ke wo nishan khole
aag ke ma'ni to dhuan khole
daera-war mahw-e-harkat hain
koi taron ki rassiyan khole
rang-e-diwar-e-KHasta ko badle
zang-alud khiDkiyan khole
kaun duniya ke bare mein soche
kaun ye uljhi gutthiyan khole
main ne kis kis jagah tumhein dekha
main ne bazu kahan kahan khole
peD sunte hain guftugu us ki
phul takte hain pattiyan khole
bar kuchh kam ho sine se 'qasim'
koi ta'wiz raegan khole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.