mere hone se pahunch jaega aaram ke sath
mere hone se pahuñch jā.egā ārām ke saath
nāma-bar mujh ko bhī le chal mire paiġhām ke saath
vo jo dīvāna sā galiyoñ meñ phirā kartā hai
yaad karte haiñ vo mujh ko magar ilzām ke saath
yuuñ nazar kā huā Takrāo ki tauba tauba
hosh bhī ho gayā ruḳhsat dil-e-nākām ke saath
kis liye apne muqaddar pe mujhe faḳhr na ho
un kā dīvāna likhā ho jo mire naam ke saath
ai 'hayāt' un kī nigāhoñ ke tabassum pe nisār
zindagī aur na guzregī ab ārām ke saath
mere hone se pahunch jaega aaram ke sath
nama-bar mujh ko bhi le chal mere paigham ke sath
wo jo diwana sa galiyon mein phira karta hai
yaad karte hain wo mujh ko magar ilzam ke sath
yun nazar ka hua Takrao ki tauba tauba
hosh bhi ho gaya ruKHsat dil-e-nakaam ke sath
kis liye apne muqaddar pe mujhe faKHr na ho
un ka diwana likha ho jo mere nam ke sath
ai 'hayat' un ki nigahon ke tabassum pe nisar
zindagi aur na guzregi ab aaram ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.