mere honTon ka abhi zahr tere jism mein hai
mere hoñToñ kā abhī zahr tire jism meñ hai
tū agar bichhḌā to kyā chain se rah pā.egā
ai suḳhan-fahm mire she'r se kyā lagtā hai
kyā mire baa'd mujhe yaad rakhā jā.egā
maiñ to is shauq meñ hotā huuñ ki kuchh boleñ log
bolnā apnā kabhī rang to dikhlā.egā
tū jo ab saath nahīñ hai to yahī lagtā hai
ab ḳhudā bhī to mire kaam nahīñ aa.egā
jo bhī kahnā hai yahāñ jhuuT ke andāz meñ kah
sach agar tū ne kabhī bolā to pachhtā.egā
mere honTon ka abhi zahr tere jism mein hai
tu agar bichhDa to kya chain se rah paega
ai suKHan-fahm mere she'r se kya lagta hai
kya mere ba'd mujhe yaad rakha jaega
main to is shauq mein hota hun ki kuchh bolen log
bolna apna kabhi rang to dikhlaega
tu jo ab sath nahin hai to yahi lagta hai
ab KHuda bhi to mere kaam nahin aaega
jo bhi kahna hai yahan jhuT ke andaz mein kah
sach agar tu ne kabhi bola to pachhtaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.