mere honTon ko chhua chahti hai
mere hoñToñ ko chhuā chāhtī hai
ḳhāmushī! tū bhī ye kyā chāhtī hai
mere kamre meñ nahīñ hai jo kahīñ
ab vo khiḌkī bhī khulā chāhtī hai
zindagī! gar na udheḌegī mujhe
kis liye merā sirā chāhtī hai
saare hañgāme haiñ parde par ab
film bhī ḳhatm huā chāhtī hai
kab se baiThī hai udāsī pe merī
yaad kī titlī uḌā chāhtī hai
nuur miTTī meñ hī hogā un kī
jin charāġhoñ ko havā chāhtī hai
mere andar hai umas is darja
mujh meñ bārish sī huā chāhtī hai
bhor aa.ī hai eraser kī tarah
shab kī tahrīr miTā chāhtī hai
āsmāñ meñ haiñ sarāboñ kī sī
jin ghaTāoñ ko havā chāhtī hai
chāñd kā phuul hai khilne ko phir
shaam ab shab ko chhuā chāhtī hai
phir na lauTegī mirī āñkhoñ meñ
niiñd rangoñ sī uḌā chāhtī hai
mere honTon ko chhua chahti hai
KHamushi! tu bhi ye kya chahti hai
mere kamre mein nahin hai jo kahin
ab wo khiDki bhi khula chahti hai
zindagi! gar na udheDegi mujhe
kis liye mera sira chahti hai
sare hangame hain parde par ab
film bhi KHatm hua chahti hai
kab se baiThi hai udasi pe meri
yaad ki titli uDa chahti hai
nur miTTi mein hi hoga un ki
jin charaghon ko hawa chahti hai
mere andar hai umas is darja
mujh mein barish si hua chahti hai
bhor aai hai eraser ki tarah
shab ki tahrir miTa chahti hai
aasman mein hain sarabon ki si
jin ghaTaon ko hawa chahti hai
chand ka phul hai khilne ko phir
sham ab shab ko chhua chahti hai
phir na lauTegi meri aankhon mein
nind rangon si uDa chahti hai
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 50)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.