mere hujre mein ajab be-raunaqi ka aks hai
mere hujre meñ ajab be-raunaqī kā aks hai
maiñ huuñ yā mere alāva aur kisī kā aks hai
aa ke qadmoñ meñ koī makrūh parchhā.īñ girī
maiñ ne pīchhe muḌ ke dekhā aadmī kā aks hai
chāñd ke chehre pe terī yā ki tujh pe chāñd kī
faisla mushkil hai kis pe chāñdnī kā aks hai
itne be-Dhab zāviye se raushnī ab ke paḌī
zindagī samjhī ki shāyad jāñ-kanī kā aks hai
in badalte mausamoñ kā bhed khultā hī nahīñ
kis kī san.at hai ye kis kārīgarī kā aks hai
shawl meñ lipTī huī shāmeñ gharoñ tak aa ga.iiñ
Dhalte sūraj kyā salām-e-āḳhirī kā aks hai
jo bichhaḌte vaqt mere lams meñ Thahrī rahī
chashm-e-yāqūtī meñ us angushtarī kā aks hai
mere hujre mein ajab be-raunaqi ka aks hai
main hun ya mere alawa aur kisi ka aks hai
aa ke qadmon mein koi makruh parchhain giri
main ne pichhe muD ke dekha aadmi ka aks hai
chand ke chehre pe teri ya ki tujh pe chand ki
faisla mushkil hai kis pe chandni ka aks hai
itne be-Dhab zawiye se raushni ab ke paDi
zindagi samjhi ki shayad jaan-kani ka aks hai
in badalte mausamon ka bhed khulta hi nahin
kis ki sanat hai ye kis karigari ka aks hai
shawl mein lipTi hui shamen gharon tak aa gain
Dhalte suraj kya salam-e-aKHiri ka aks hai
jo bichhaDte waqt mere lams mein Thahri rahi
chashm-e-yaquti mein us angushtari ka aks hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.